Corona virus se bachne ke tarika, Corona virus se kaise lade? How to protect ourselves from covid-19 disease?
Dosto kaise hai aap log, asha karte hai ki aap log sabhi asse hai or surokshit hai.
Dosto aaj ke samai ek bahut hi muskil daur se gujar raha hai, hum sabhi apne apne life se bahut piche chale gaye hai. Jise karan hume kafi paresanyo se gujarna padh raha hai.
Dosto aaj ke is situation ke liye jimmedar hai, ek virus jis virus ka naam hai Corona virus. Jis virus ki wajah se bahut sare logo ki jaan chali gayi hai, bahut sare log abhi bhi hospital main admit hai.
Is Corona virus ki wajah se hamare hamare desh ki economy bahut niche chale gaye hai or desh main bahut sara cheezo ki mehengayi badh rahi hai.
Dosto agar hume is corona virus se bachna hai to hume bahut sare savdhaniya baratni ki jarurat hai or dusro ko bhi salah dena chahiye.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Corona virus se bachne ke liye kya kya savdhaniya baratni chahiye, kaise is virus se mukabla kare ye sab ke bare main.
Covid-19 se bachne ke tarike:
Covid-19 se bachne ke liye hume bahut sare savdhaniya baratni chahiye jisme se kuch savdhaniya niche diye gaye hai:-
1.Bina koi wajah se ghar se bahar na nikle, Agar aap ko kuch jarurat ho to hi aap ghar se bahar nikle hai to bahar nikalte samai apne muh par mask laga kar hi bahar nikle.
2.Bahar jakar jab kisi cheez ko aap shute to laga lag apne haath ko aap ne haath ko senitize kare or saath hi dusre logo se distance maintain karke hi bahar ghume.
3.Jab aap bahar se kuch cheez lekar ghar par ate hai, tab apne cheezo ko direct ghar ke andar na le jaye use thodi der ghar bahar dhup main rakhe, jo cheez dho sakte hai use dhu le or uske bad hi ghar ke andar le jaye.
4.Agar aap ko thodi jhukham ya sardi ya sans lene main taqleef ho rahi hai to bina kisi der kiye aap ne najdigi swasth kendra main sampark kare.
5. Covid-19 ke vaccine le aap, Vaccine lene se hume covid-19 se ladne ke liye hamare immunity system ko support milta hai.
6. Hume vitamins jyada dene chahiye aap ne sarir ko, jiske karan hamara immmunity strong hoga or hamara immunity system covid-19 ke khilaf ladh sakegi.
7. Covid se bachne ke liye hume sabse pehle aap ne sarir ke immunity system ko strong karna padega, or immunity system strong karne ke liye hume pehle thoda yoga or thoda exercise ki jarurat hoti hai. Isliye hume roj thode waqt yoga or exercise karna chahiye.
8. Agar aap ko covid-19 hua hai to aap apne aap ko yani apne mind set positive rakhe or dawai routine ke hisab se lete rahe. Khana niyamot rup se kahte rahiye. Chai pijiye thoda tikha karke masala dal ke or garam pani ka vap nak or muh se apne andar lijiye.
Last word:
Toh dosto yeh tha Covid-19(Corona Virus)se apne aap ko kaise bachaye ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Covid-19(Corona Virus)se apne aap ko bachane ki tarika ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Kam/Jyada Sone Ke Nuksan? | Kaise Acchi Nind Le Jaaye
- अपने Immunity को बढ़ाने वाले 5 असरदार सब्जी
- Green Tea kaise banaye? Green tea ke pure faide?