Computer Mouse ke Kitne types hai | Janiye Mouse ke baare me hindi me

Computer Mouse ke Kitne types hai | Janiye Mouse ke baare me hindi me

Hi dosto, www.knowledgefinder.in pe apka ekvaar phir se swagat hai. Kaise ho aap aasha krti hun aap thik hi honge. Aaj hum baat krne waale hai Computer Mouse ke Kitne types hai Janiye Mouse ke baare me hindi me humaare sath is post me.



Computer Mouse Kya hai

Computer mouse ki full form : “Manually Operated Utility for Selecting Equipment” hai Commputer mouse ek tarah ka input device hai jis ke zariye hum computer ke andar hone waali chizo ko operate kr sakte hai. 

Jab bhi hum computer mouse ko istemal krte hai to ek arrow ki tarah dikhne waala picture computer screen pe Show hota hai jo hume navigations btaane me, files ko open krne me or curser ko ek jagh se dusri jagh se le jaane ke liye help krta hai.

Mouse ke types 
Mouse ke 3 types ke hote hai.

1. Normal Computer Mouse
Normal Computer wale Mouse me ek wire di gyi hoti hai jisko hum CPU se connect krke usko Computer pe operate kr sakte hai. Is Normal Computer mouse ko aam taur pe har koi easily istemal kar paata hai. Is mouse ko 3 buttons hote hai Left, Right aur Middle scroll button.

third party image reference


Left hand side waale button clicks or drags ke liye istemal hota hai, Right hand side wala button Right click, Refresh, More options ke liye istemal hota hai aut Middle scroll waala button Page scrolling ke liye isetmal kiya jaata hai Jisme blue colour ki light bhi show hoti hai.


Magar mouse ko hum apne sath carry nhi kar skte kyunki isme wire hoti hai jo CPU se connected hoti hai. Bina CPU ke ye mouse kisi kaam ka nhi hai Jabtak CPU se ye mouse connected rahega tabtak aap isko istemal kar sakte hai.

2. Wireless Computer Mouse
Wireless wala mouse aksar Laptops me istemal kiya jaata hai. Is mouse ki banawat sabhkuch same hai normal computer mouse ke jaisi hi magar isme ek bluetooth inserter hota hai jisko hum laptop me diye gaye Mouse slot me daal kr activate kr skte hai. 

third party image reference


Jin logo ko business related kaam hai ya jinko mouse apne sath carry krne ki zaroorat padti hai wo is mouse ka istemal zada kar paate hai. Ye light weight hota hai or space bhi kam leta hai aasani se kisi bhi bag me shift ho jaata hai

Agar ye mouse apka chori bhi ho jaata hai to apko ghabraane ki zaroorat nhi hai kyunki Agar mouse ko istemal krna hai to dono chizo ki yaane mouse+bluetooth inserter ki zaroorat padti hai agar usme se kisi ek ki chori ho jaaye to wo kisi kaam ka nhi hota.


3. Inbuilt Computer Mouse
Laptop bhi ek tarah ka Computer hi hai bs farak itna hai ke computer ko CPU connected hota hai or Laptop me CPU inbuilt hota hai. Jaise ke ke mobile me non removable waali battery ka example ye bhi same usi ki tarah hai.

third party image reference


Isme keyboard ke sath hi chota sa box space diya gaya hota hai jo iska mouse hota hai. Is mouse ko hum finger touch se chalaate hai or is mouse ko kisi cable/wire/bluetooth ki zaroorat nhi padti hai.

Is mouse me 2 space hote hai ek bada wala or ek chota waala. Jo bada wala space hai wo moving or clicks krne ke kaam aata hai aur jo kam space wala jagah hai us se aap right click kar sakte hai.


Aasha krti hun aap jaan gye honge ke Computer Mouse ke Kitne types hai.

Agar apko post achi lagi ho to apne dosto se share zaroor kare. Apke pas konsa mouse hai hume comment me zaroor btaaye

Aise hi knowledgable baate jaan ne ke liya www.knowledgefinder.in ko follow krna na bhule.

Yeh bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *