Namaskar doston aaj is post ke jariye Multi starr movie ‘Brahmastra‘ ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Brahmastra movie ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Brahmastra movie review
Brahmastra yani Hindu sabhyata ke anusaar Brahmastra ko amogh astra mana gaya hai. Yani aisa astra jiski koi kaat nahi hai. Yeh srishti ke rachiyata samjhe jane wale bhagwaan Brahma ka hathiyaar hai.
Ranbir Kapoor aur Alia Bhatt ki film Brahmastra mein sutra ke anusaar Shahrukh Khan cameo mein najar ayenge. Ayan Mukarji ke direction mein ban rahi is film mein jaha Ranbir aur Alia pehli baar parde par ak sath najar ayenge, wahi is film mein Amitabh Bachchan, Nagarjuna Akkineni aur Mouni Roy bhi hai. Khabar hai ki Shahrukh Khan ne Mumbai mein film ki 10 dinon ki shooting 2019 mein hi puri kar li hai. Ab Shahrukh Khan ke kirdaar ko lekar bhi jankaari samne ayi hai. Woh film mein ak Scientist ki bhumika mein najar ayenge.
Movie ki kahani
Sutra ke anusaar Brahmastra mein Nagarjuna ka kirdaar kisi Archeologists ka hai. Woh Professor bhi ho sakte hai. Unka kirdaar Kashi mein Ganga ke kinaare ak ati pracheen Shiv mandir ko khoj raha hai. Brahmastra fantasy action movie hai. Film ki sahi-sahi kahani to samne nahi aa payi hai. Lekin iske Brahma, Vishnu, Mahesh ki triology se prerit mana ja sakta hai. Aadhunik samay ki kahani jiske pauranik refrains hai. Ranbir Kapoor jo kirdaar nibha rahe hai uske paas alaukik shakti hai.
Film mein Alia Isha naam ki ladki ka kirdaar ada kar rahi hai, jo haathon se aag barsaati hai. Wahi Amitabh Bachchan Ranbir yani Shiv ke guru ke kirdaar mein hai. Nagarjuna film mein ak puratatvavetta ka role ada karenge jiska siddhant Varanasi ke puraane mandiron ko dubara jeevit karna hai. Lekin sabi aapna maksad pura karne ke liye sirf ak cheej ki talaash karte hai jo hai Bhagwaan ka shastra ‘Brahmastra’. Koi saal pehle yeh astra tut gaya aur iske tukade pure desh ke vibhinna bhaagon mein ja ghire. Aapni shaktiyon se sabi iski talaash mein jut jaate hai. Lekin film ka pehla bhaag Ranbir yani Shiv ki kahani par aadhaarit hoga, jise aapni shaktiyon ka pata nahi hota aur baki sabi kirdaar unhe unki shaktiyon ka aabhaas karvate hai.
Movie ki release date
Brahmastra ko pichle saal December 2020 mein release karne ki tayari thi. Magar Production ka bahut sara kaam pura nahi ho paya tha. Iske bad Corona mahamari ke pehle aur dusre face ne asar dala. Shooting ke lihaaj se Brahmastra ka lagbhag kaam pura ho gaya hai. Ranbir aur Alia ke kuch hisse abhi shoot karne baki hai. Pehle film ke isi saal ke ant tak release karne ki bat samne aa rahi thi. Magar kuch report mein kaha gaya ki ab ise agle saal yani 9 September 2022 ko all over India mein Hindi, Tamil, Telugu, Malayalam and Kannada in language mein release kiya jayega.
At last
Toh doston yeh tha aaj ke topic Brahmastra movie ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Brahmastra movie ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Also Read..