Namaskar doston aaj is post ke jariye Bharat ko swatantrata milne ke bad,bharat ke aaj tak ke pradaan mantri kaun kaun bane unke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap swatantrata bharat se aaj tak ke pradaan mantri ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Bharat ke pehle Pradaan mantri kaun the?
• Jawaharlal Nehru
Pandit Jawaharlal Nehru ka janma 14 November 1889 mein hua tha. Weh bharat ke pratham Pradaan mantri the aur swatantrata ke purva pashchaat ki bharatiyon rajneeti mein kendriya vyaktitv the. Mahatma Gandhi ke sanrakshan mein, weh bhartiya swatantrata aandolan ke sarvocch neta ke rup mein ubhre aur unhone 1947 mein bharat ke ak swatantra rashtra ke rup mein sthapana se lekar 1964 tak aapne nidhan tak, bharat ka shasan kiya. Weh aadhunik bhartiya rashtra-rajya – ak samprabhu, samaajwaadi, dharmanirapakya, aur loktantrik gantantra ke vaastukar mane jate hai. Kashmiri pandit samudaay ke sath unke mul ki vajah se weh Pandit Nehru bhi bulaye jate the, jab ki bhartiya bacche unhe Chacha Nehru ke rup mein jante hai.
15 August 1947 se 27 May 1964 tak 16 saal 286 din Jawaharlal Nehru bharat ke pehle pradaan mantri aur sabse lambe samay tak rehne wale vyakti the.
Aur abhi tak ke pradaan mantri kaun kaun hai
• Gulzarilal Nanda
27 May 1964 se 9 June 1964 tak 13 din Gulzarilal Nanda pehle karjyavahak pradaan mantri, sabse kam samay tak pradaan mantri rahe.
• Lal Bahadur Shastri
9 June 1964 se 11 January 1966 tak 1 saal 216 din Lal Bahadur Shastri karjykal mein the. Inhone 1965 mein Bharat-Pakistan ke yuddh ke samay ‘Jay Jawan Jai Kishan‘ nara diya tha.
• Gulzarilal Nanda
11 January 1966 se 24 January 1966 tak 13 din tak Gulzarilal Nanda ne firse kajyakal mein aye the.
• Indira Gandhi
24 January 1966 se 24 march 1977 tak 11 saal 59 din tak Indira Gandhi bharat ki pehli mahila pradaan mantri thi.
• Morarji Desai
24 March 1977 se 28 July 1979 tak 2 saal 126 din tak karjykal mein rahe. Morarji Desai sabse vriddh pradaan mantri aur pad se istifa dene wale weh pehle pradaan mantri the.
• Charan Singh
28 July 1979 se 14 January 1980 tak 170 din tak Charan Singh pradaan mantri rahe. Akele aise P.M jinhone sansad ka samna nahi kiya.
• Indira Gandhi
14 January 1980 se 31 October 1984 tak 4 saal 291 din tak Indira Gandhi pradaan mantri pad dusri baar sambhalne wali pehli mahila thi.
• Rajiv Gandhi
31 October 1984 se 2 December 1989 tak 5 saal 32 din tak Rajiv Gandhi sabse yuva pradaan mantri the.
• Vishwanath Prataap Singh
2 December 1989 se 10 November 1990 tak 343 din tak karjykal mein rahe the. V.P Singh pehle pradaan mantri jinhone avishvaas prastaav pass hone se pad choda tha.
• Chandra Shekhar
10 November 1990 se 21 June 1991 tak 223 din tak samaajwaadi janata party se sambandhit Chandra Shekhar bharat ke pradaan mantri the.
• P.V. Narasimha Rao
21 June 1991 se 16 May 1996 tak 4 saal 330 din tak P.V. Narasimha dakshin bharat se pehle pradaan mantri the.
• Atal Bihari Vajpayee
16 May 1996 se 1 June 1996 tak 16 din tak Atal Bihari Vajpayee ki keval ak vote se sarkar giri thi.
• H.D. Deve Gowda
1 June 1996 se 21 April 1997 tak 324 din tak H.D. Deve Gowda janata dal se pradaan mantri bane the.
• Indar Kumar Gujral
21 April 1997 se 19 March 1998 tak 332 din tak Indar Kumar Gujral vyaktigat rup se bharat ke 13 weh pradaan mantri the.
• Atal Bihari Vajpayee
19 March 1998 se 22 May 2004 tak 6 saal 64 din tak geer congressi pradaan mantri jinhone karjykal pura kiya.
• Manmohan Singh
22 May 2004 se 26 May 2014 tak 10 saal 2 din tak Manmohan Singh pehle Sikh pradaan mantri bane.
• Narendra Damodar Das Modi
26 May 2014 se ab tak Narendra Modi dusre Gujarati pradaan mantri bane, pehle Morarji the. Chothe pradaan mantri hai jo ki lagatar dusra karjykal pura karenge.
At last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic bharat ke aaj tak ke pradaan mantri ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai bharat ke aaj tak ke pradaan mantri ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.