Assam ke 5 aitihasik jagaho ke bare mein|Top five Historical places of Assam in Hindi

Prakkriti ke rang bhumi Assam ek manorom rajya hain,yeha prakkritik sandarya ke saath bahut sare aitihashik jagah or tirtha bhumi bhi hain.Assam me 600 sal tak ahomo ne sashon kiya tha ,unlogo ne apne sashan kal Assam main koyi sare emarate, rajbhavan ye sab nirman kiya tha ,in sabke alaba unlogo ne khel kud ke liye bhi koyi sare khas jagah banaya tha,lekin unlogo ke chale jane k bad ye sabhi jagah or emarate aaj Assam k aitihashik jagaho main aa gaya or Assam ki khubsurti par or char chand lga diya. In ke alaba bhi koyi sare jagah bhi Assam main hain.In sabhi jagah par puri duniya se paryotak ghumne ate hain. To is post par Assam k un sabhi jagah k bare main janne ki koshish karenge. असम के टॉप पांच ऐतिहासिक जगह?|Top five Historical places of Assam in Hindi

Assam ke 5 aitihasik jagaho ke bare mein|Top five Historical places of Assam in Hindi

1.Talatal Ghar

Talaltal ghar ko rangpur palace bhi kahaa jata hain.Ye Assam k Sivsagar jila main sthit hain.Is ghar ko Assam k us time k sashok ahomo ne banaya tha.Ye ek bahut hi khubsurat tai ahom architecture hain.Ye Assam k northhern region main sthit hain.Is ghaar k upari bhaag ko Kareng Ghar bhi kaha jata hain.

2.Rang Ghar

Rang ek bahut purana aitihasik chezzo main ata hain,Is ghar ko Assam main 600 saal raaj karne wala ahomo ne banaya tha,ye Assam ke Shivsagar jila main sthit hain Ise House of entertinment bhi kaha jata hain,Ise lag bhag 1746A.D ke bich banaya tha. Is aitihashik ghar ko dekhnee k liye bhi bahut dur dur se paryotak ate hain.Ye ghar Sivsagar town se 3 km k duri par hain.

3.Hajo Powa Mecca

Ye Assam k hajo sahaar main sthit hain,ye ek pabitra sthal hain,ye ek dargah hain,ye dargah pir Giasuddin Auliya k dargah hain.is dargah ko Mir Lutfullah ne 1657 main samrat Shaahjahan k raj maain banaya tha.Yaha par har sal log jalsa manane ate hain,ye ek tirthobhumi hain.

4.Charaidew

Ye Assam purane aitihashik jagaho main ek hain .Ye jagah pehle Ahomo ke rajdhani the.Is jagah se Assam k koyi purane itihash judi huwi Hain.Ye bhi Assam k sivsagar jila main sthit hain.Ye jagah sivsagar Town se 26 km dur Hain.Is jagah ko Ahom king chukafa ne banaya tha.Is jagah se hi Ahomo ka safar huwa tha.

5.Kamakhya mandir

Ye mandir ek baht purana hain.Ye mandir Assam ki Shaan Hain.Ye mandir Assam k Guwahati Sahar k nilachal pahar par sthit hain.Is Mandir par Devi Ma Kamakhya k pooja kiya jata hain.Is mandir par pooja dene k liye sirf Assam ka hi nahi walki puri duniya k mahan hastiya bhi ata hain. Is mandir par ek mela hota hain jise ambubasi mela kaha jata hain,is mela main desh bidesh kayi saari pandit or baba ata hain .saath is mela main duniya bhar k log bhakti karne tatha duniya k mahan baba o ka ashirbad lene ate hain.

At Last:

Toh dosto yeh tha Top five Historical places of Assam in Hindi, assam ke 5 aitihasik jagaho ke bare mein. asha karta hu apko yeh post pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *