Android Studio Laptop Requirements | Android Development karne ke liye Laptop Specs ?
Hello Friends Aap Ka Ek Baar Phir Knowledge finder blog me Swagat Ha.. Pichle post par bataya tha Konsa Language sikhe Android development ke liye! Aaj Hum Log Baat Karenge Android Studio Chalane ke liye kaise Laptop/computer ki jarurat hai, ya fir kya Specifications rehna chahiye system me yeh sawal jo ki Kafi Important Question hai.
Jis Mae Sab Sae Jaada Confusion Hota Hai Jo New Students Android Development Mae Apna Career Start Karne Ki Soch Rahe Hota Hai. Ki Kya Configurations Honie Chiyae Unkae System Ki Jis Sae Woo Android Development Smoothly Kar Sake. So Aj Ussi Kae Barae Mae Discuss Karenge. So Start Karte Hai Fir… Android Studio Laptop Requirements | Android Development karne ke liye Laptop Specs ?
Sab Sae Phlae Student’s Ko Confusion Hota Hai Processor Ka. Ki Konsa Processor Best Rahega Unke Liye. and Processor Kae Generation Kae Satth System Ka Price Bhi Increase Hota Rehta Hai. So Mai Bata Du Ki – i3, i5, i7 processor sae kuch jyada difference nhi ata hai. Bass Kuch Nanoseconds Ki Speed Ka Difference Ata Hai. Main Difference Kisi Bhi System Ki Speed Mae Ata Hai RAM and Storage Disk (HDD or SSD) Type Sae. Eak System Mae Android Studio Ko Smoothly Run Karne Ke Liye Minimum 8GB RAM Honie Chiyae.
Av Mai Appko Bataunga Mera Kya Opinion Hai Ki Kya Configrations Honie Chiyae Android Studio Ko Smoothly Run Karnae Kae Liyae System Mae…..
RAM: 8GB (Minimum), Processor: As Your Wish (i3, i5, i7), Storage Disk: SSD. Bass Yeh Configurations Honie Chiyae Apke System Mae Android Studio Ko Smoothly Run Karne Ke Liye.
Eak Baat Ka Hamesha Dhyan Rakhiye Ki Jab Bhi Aap Android Studio Ko Apnae System Mae Install Kar Rhae Hai Uss Time Appka System Fast Interenet Connectivity Sae Connected Hona Chaiye. Warna Android Studio Install Nhi Hoga Ya Install Hone Ke Baad Errors Dega.
Toh Dosto abhi hum jane gaye ki Android Studio Laptop Requirements | Android Development karne ke liye Laptop Specs ? aaiye aab dusra ek Confuse durr karte hai jo ki Android development me hoti hai jo ki WebView ko lekar hai.
Av Hum Log Baat Karenge Aaj Kae Next Topic Par Jo Hai Android WebView. Ki Android WebView Kya Hota Hai, Kha Par Use Ata Hai, and Kuch Examples Android WebView Kae. So Start Karte Hai…
Android WebView Kya hai ?
Jaise Ki WebView Kae Naam Mae He “Web” Aata Hai. Ussi Sae Aap Idea Laga Sakte Hai Ki Yeh Web Sae Related Kisi Kaam Mae Ata Hoga Android Mae. So WebView Kaam Ata Hai Webpages Ko Apni Applications Mae Display Kara Nae Kae. Means Jo Aap Website Google Par Khol Rhae Hai Wo Hi Websites Aap Apni Application Mae Open Kar Sakate Hai. Yaha Tak Ki Aap Google Bhi Apni Application Mae Open Kar Sakte Hai. Bass Apko Link Laga Na Hoga Jo Website Ya Webpage Aap Apni Application Mae Open Kara Na Chahtae Hai. Jaise Apn Normally Websites Mae Karte Hai. Bass Wo Laga Nae Ka Tarika Application Mae Thoda Different Hota Hai.
Iss Baat Ka Hamesha Dhyan Rakhe: Maine Yeh Notice Kiya Hai Ki Bahut Sae Log Jinko Android Kae Barrae Mae Knowledge Nhi Hota Wo Apni Website Ka App Banwana Chachtae Hai. and Isley Wo Social Media Par Post Kar Detae Hai Ki Website Ko APK Mae Convert Karwana Hai. Ya Website Ka App Chiyae. and Kuch Fraud Developers Ready Ho Jatae Hai Yeh Kaam ₹2000 Sae ₹5000 Mae Karnae Kae Liyae. And Baad Mai Wo Kuch Changes Kar Kae WebView Apk Mae Laga Kr Dae Detae Hai Client Ko. and Client Ko Lagta Hai Unka App Ready Ho Gaya. But Wo Fraud Hota Hai. Wo Kaam Toh Client Khud Youtube Sae Dekh Kar Bhi Kar Sakta Hai. Uske Liye Inta Paise Denae Ka Koi Jarurat Nhi Hai.
So Yeh Ek Example Hai WebView Ka Android Application Mae. Jaha Ek Application Mae Amazon Open Hua Hai. Upper Part and Lower Part Apk Kae Hai. And Middle Part WebView Hai.
So, Thank You Guys Yeh Article Read Karne Ke Liye. Hope Kuch Naya Seekha Hoga Aap Nae Iss Se.
Last Word
Toh aaj humne is post me do Confuse durr kiya Android Studio Laptop Requirements | Android Development karne ke liye Laptop Specs ? iske bare me or ek confuse durr kiya Android WebView kya ?, Android WebView App Development ke bare me. Asha karta hu apko yeh post accha laga hai and agar aap log hindi me Android App Development se related kuch aur bhi poochna ya sikhna chahta hai toh comment kare.
Hello Dosto, Post kesa laga aur apko koi sawal hai Toh comment par jarur likhe, Ho sake toh is post ko Apne Dasto ke sath, social media par bhi share jarur kare, article ke anth me aur shuruwat me share button hai udhar se aap click Karke ashani se share Kar payenge.
Aap hamare Knowledge finder ke latest updates pane ke liye Facebook page like kare, Right side par Bell icon ko subscribe kare! ?
“Post Read karne ke liye aur Knowledge finder visit karne ke liye Bahut Bahut Dhanyawad’
Yeh Bhi padhe-
Mere pass to 4GB ram wala Core2Due Processer wala window 7 he usme android studio nhi chlega kya.
Ji, Chalega. mera pas bhi Win7 4G Ram wala tha usme itna sahi se run nahi karta hai Android studio.