Namaskar doston aaj is post ke jariye Bharat ke pehle raashtrapati kaun the, aur abhi tak ke raashtrapati ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap bharat ke abhi tak ke raashtrapati ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Bharat ke samvidhan ke anusaar bharat ka raashtrapati desh ka mukhiya thata pratham naagrik kaha jata hai. Bharat ke raashtrapati ke paas aseemit shaktiya hoti hai parntu raashtrapati aapni shaktiyon ka istemaal shyam nahi kar sakta hai. Usko aapni shaktiyon ka istemaal karne ke liye pradaan mantri aur uske mantri parishad par nirbhar karta hai. Raashtrapati teenon senaaon ka commander and chief bhi hota hai, tatha raashtrapati ka nirvaachan logsabha, raajyasabha aur vidhansabhake nirvachit sadasyon dara kiya jata hai. Samvidhan ke niyamanusaar iska karjykal 5 saal ka rakha gaya hai.
Swatantrata bharat ke pehle raashtrapati kaun the
• Dr. Rajendra Prasad
Bharat ke pehle raashtrapati the jinhone do karjykalon tak raashtrapati pad par karjy kiya. Weh samvidhan sabha ke adhyaksh bhi the aur bharatiyon swadheenata aandolan ke pramukh neta. Unko 1962 ko Bharat Ratna diya gaya tha.
26 January 1950 se 13 May 1962 tak Dr. Rajendra Prasad bharat ke pehle raashtrapati ke rup mein karjykal suru kiya tha.
• Dr. Sarvepalli Radhakrishna
13 May 1962 se 13 May 1967 tak Dr. Sarvepalli Radhakrishna raashtrapati ke rup mein karjykal mein the.
Dr. Sarvepalli Radhakrishna ka janma 5 September 1888 ko hua tha aur isi din ko shikshak divas ke rup mein manaya jata hai. Unko 1954 mein Bharat Ratna diya gaya tha.
• Dr. Jakir Husain
13 May 1967 se 3 May 1969 tak Dr. Jakir Husain bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal mein the. Weh bharat ke pehle muslim raashtrapati bane the.
• V.V. Giri
3 May 1969 se 20 July 1969 tak V.V. Giri raashtrapati ke rup mein karjykal kiya tha. 1975 mein unko Bharat Ratna se sammaanit kiya gaya tha.
• Mahommad Hidayatullah
20 July 1969 se 24 August 1969 tak Mahommad Hidayatullah raashtrapati ke rup mein karjykal kiya tha.
• V.V. Giri
24 August 1969 se 24 August 1974 tak V.V Giri dusri baar raashtrapati ke rup mein karjykal kiya tha.
• Fakhruddin Ali Ahmed
24 August 1974 se 11 February 1977 tak Fakhruddin Ali Ahmed raashtrapati ke rup mein karjykal kiya tha.
• B.D Jatti
11 February 1977 se 25 July 1977 tak B.D Jatti ne rashtrapati ke rup mein karjykal mein the.
• Neelam Sanjiva Reddy
25 July 1977 se 25 July 1982 tak Neelam Sanjiva Reddy rashtrapati ke rup mein karjykal mein the. Weh Andhrapradesh ke mukhyamantri bhi rahe the.
• Giani Jail Singh
25 July 1982 se 25 July 1983 tak Giani Jail Singh rashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the. Weh Punjab ke mukhyamantri bhi rahe the.
25 July 1983 se 25 July 1984 mein raashtrapati bane the aur 25 July 1984 se 25 July 1987 tak Jail Singh raashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the.
• R. Venkataraman
25 July 1987 se 25 July 1992 tak R. Venkataraman bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the.
• Shankar Dayal Sharma
25 July 1992 se 25 July 1997 tak Shankar Dayal Sharma bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the. Weh Bhopal ke mukhyamantri bhi rahe the.
• K.R. Narayan
25 July 1997 se 25 July 2002 tak K.R. Narayan bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal kiye the.
• Dr. A.P.J. Abdul Kalam
25 July 2002 se 25 July 2007 tak Abdul Kalam bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the.
Dr. A. P. J Abdul Kalam bharat ke missile man naam se bhi jaane jate hai. Weh pehle vaigyanik the jinhone raashtrapati pad ko sambhala aur bharat ke pehle raashtrapati jo sarvaadhik manton se jeete the. 1974 avam 1998 mein bharat ke parmaanu parikshan mein unka mahatvapurn yogdaan raha tha. 1997 mein uhe Bharat Ratna se sammaanit kiya gaya tha.
• Pratibha Singh Patil
25 July 2007 se 25 July 2012 tak Pratibha Singh Patil bharat ke pehle mahila raashtrapati ke rup mein karjykal mein rahe the.
• Pranab Mukherjee
25 July 2012 se 25 July 2017 tak Pranab Mukherjee bharat ke raashtrapati ke rup mein karjykal kiye the. 2008 mein unko Padmabhushan se sammaanit kiya gaya tha.
• Ram Nath Kovind
25 July 2017 se Ram Nath Kovind abhi tak raashtrapati ke rup mein kaam kar rahe hai.
At last:
Toh doston yeh tha aaj ke topic swatantrata bharat ke abhi tak ke raashtrapati ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai bharat ke abhi tak ke raashtrapati ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- स्वामी विवेकानंद की जीवन कथा|Swami Vivekananda Biography in Hindi
- Mother Teresa Biography in Hindi|unke Jivan Parichay!
- Ratan Tata ke bare mein kuch baate| Ratan Tata ji biography.