Engineer kaise bane? Engineering ke bare main jankari!
Engineer naam sunte hi satron aapne maan mein swapne saja lete hai, jo ki lajmi hai. Agar aap bhi ak Engineer banna chaahate hai, is blog mein hum aapko batayange, Engineer kaise bone, kitne prakaar, kiya karna chahiye Engineer banne ke liye.
Aaj ke samoy mein Engineer banne ke baad kafi naam aur shauharat kamaate hai. Aaj har ghar mein ak bachche ka swapna hota hai ki wo baada hokar Engineer bane. Yadi aap Engineer baan jate hai to aapka bhavishya ujjwal ban sakta hai kiu ki ak Engineer ki salary lakhon mein hoti hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Engineer kaise bane, Engineer banne ke liye kya kya course karne chahiye ye sab ke bare main.
Engineer kiya hai ?
Engineer wo hota hai jo aapni 3 saal ki padai karne ke bad aapne aandar kisi nyi vastu ka aavishkaar karne ki capability rakhta hai. Agar aapko Engineer banna hai to aapko kadi mehnat aur lagan se padai karna chahiye. Ak Engineer banne ke liye koi diploma aur degree shamil karni hoti hai, jiska ak Engineer ke jeevan mein kafi mahatta mana jata hai.
Ak Engineer jo course karta hai use Engineer kehte hai. Aap Engineering ki kisi bhi branch mein jana chahe, aapko science aur maths ki kafi jyada jankari honi chahiye. Ak Engineer aapne course ko karne ke bad paise ki taur par koi road, pull aur building ka nirmaan karta hai,yehi sab Engineering course mein satron ko sikhaaya jata hai, jo ak Engineer ka mukhya kam hota hai.
Engineer kitne prakaar ke hote hai
Agar aap engineer banna chahate hai to aapko pehle yeh tay karna hoga ki, aap kis type ka engineer banna chahate hai kiu ki engineer bahut saare prakaar ke hote hai aur engineer aapne aap mein hi koi shetra mein banta hua hai.
- Electrical engineer
- Mechanical engineer
- Civil engineer
- Computer engineer
- Software engineer
Engineer kaise bane
Ak saphal engineer banne ke liye kiya karein?
Vishay ka chunaav kaise karein?
Engineer ak yesi shakha hai jo koi hisho mein bati hye hai. Iske liye sabse jaruri hai aapni ruchi ke anusaar setra ka chunaav karein jisme aapko agee baadna hai.
Degree praapt kaise karein?
10th ya 12th mein aapni ruchi aur ichha ke anusaar engineering mein diploma ya degree praapt karle. Jaha 12 th ke bad vidyarti ko medical aur non medical ke subject ko chunna hota hai. Wahi 10 th ke bad vidyarti ko I.T.I karne ya fir politechnic mein diploma praapt karke B.Tech mein pravesh lena chahiye.
Degree ke bad Company ko chune
Jab aap aapne chune hye vishay mein degree haasil kar lete hai, to fir aap us field se judi Company ka chunaav kar sakte hai aur us company mein interview dekar job pa skte hai.
Engineer banne ke liye kya kya Qualification chahiye ?
12 th mein acche ankon ke sath pass hona chahiye, tabhi aap engineer banne ka swapna pura kar sakte hai. Iske bad engineering ka course karke 3 saal ka diploma degree ki aavashyakta hoti hai. Iske alawa aap koi annaya course jaise B.I aur B.Tech bhi hai jise aap saphalta purvak karke bhi engineer ban sakte hai.
Engineer banne ke liye courses
Engineer banne ke liye koi course upalabdhta hai, aap chahe to diploma course kar sakte hai ya Becholor course kar sakte hai. Dono ke madhyam se aapko degree milti hai aur aap engineer ban sakte hai.
1.Diploma Engineering course
Yeh course 3 saal ka hota hai, jisme aapke pas science aur maths vishay hona anivaary hai.
- Diploma in Information Science
- Diploma in Automobile Engineering
- Diploma in Computer Science
- Diploma in Mechanical Engineering
- Diploma in Civil Engineering
- Diploma in Electrical Engineering
- Diploma in Electronic Instrumentation and Control Engineering
2.Becholor Engineering Course
12 th mein saphalta ke bad hi aap yeh course karne ke liye saksham ho sakte hai aur aapka vishay science hona chahiye. Yeh course karne bad nimna engineering ke setra mein engineer ban sakte hai.
- Atomobile Engineering
- Biotechnology Engineering
- Civil Engineering
- Mechanical Engineering
- Aerospace Engineering
- Chemical Engineering
- Computer Engineering
- Industrial Engineering
- Information Technology Engineering
- Metallurgical Engineering
At last:
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Engineering ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai ki ak Engineer kaise banne. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- How to become MBBS in Hindi!
- How to become IRS officer in Hindi?
- APSC kya hota hain?|About APSC in Hindi!