2019 ki Jarsey Telegu movie jo kafi famous movie the or is movie ko ab shahid kapoor ne remake karne wala hai, jarsey south ke movie me 25 crore rupees budget thi or iska box office collection 48 crore mila hai. Shahid kapoor ke jarsey movie august 2020 me release hone wala tha par covid 19 ke karan nahi hua, aabhi 31 december 2021 me chinema gharo me jarsey movie ko dekh sakte hai.
Jersey film ke baare mein kuch batein
Jersey movie Shahid kapoor ki aagaamee bharatiyon hindi bhaasha ki sports drama film hai, is film ko likhe aur nirdeshit Gowtam Tinnanuri. Is film mein Shahid kapoor ak cricketer ka bhumika nibhyenge. Is film ko prastut karenge Allu Arvind, Aman Gill, Dil Raju and Suryadevara Naga Vamsi.
Shahid kapoor Jersey movie ko karne ki wajah
Bollywood mein Shahid kapoor ki film Kabir Singh ki success ne south ki filmy ki hindi remake ke naye darwaje khol diye hai. Kabir Singh ne 200 crore club ne entry li aur Shahid ki carrier ki sabse safal film bhi bani. Bata de ki original film Arjun Reddy thi jismein Vijay Deverakonda ne mukhya bhumika nibhya tha.
Ab Kabir Singh ki success ke bad Shahid Telugu movie Jersey ko hindi mein remake kar rahe hai.
Jersey movie ki starcast
Tellugu film Jersey ko hindi mein remake kar rahe hai,Shahid kapoor mukhya bhumika mein aur unke sath pehle kaha ja raha tha ki Shraddha kapoor honge. Lekin ab kaha ja raha hai ki kannada actress Rashmika Mandana honge, lekin trailer realese ke bad pata chala ki Jersey film mein Shahid kapoor ke sath lead role mein Mrunal Thakur hai.
Jersey movie ki kuch conform cast
- Shahid Kapoor as Arjun Raichand
- Mrunal Thakur as Vidya Raichand
- Pankaj Kapoor as Coach Chandrasekhar Murthy
- Sharad kelkar
At Last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Jersey movie ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai ki Jersey movie mein kon kon dikhai denge. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.