Indian film industry main bahut bade bade sitare ate rahe, sabhi sitare apne apne samai mein bahut hi famous the.
Sabka apna apna ek time hota hain, jis period mein wo bahut famous hota hain.
Indian film industry ke arambha hone se hi bahut sare sitare aye,or apna jalwa dikhaya hain.
Lekin jaman badalta gaya or jamane ke hisab se bade bade sitare ate rahe.
To pehle ke jaisa aaj ke jamane mein bhi bahut bade bade star hain,jinme se ek aise star jo sab ke dil main raj karta hain.
Nayi pidi ke bich kafi famous hain wo,or wo big star hain or koyi nahi, wo star hai Ranveer Singh, jiske naam se hi pehchan hain.
To dosto aiye is post par hum jante hai Ranveer Singh ji ke bare mein, unka janm, unka pehla film, unke family ye sab ke bare main.
Ranveer Singh ji ke jeevan parichay!
Ranveer Singh ke janm:
Ranveer Singh ke janam 6 July 1985 ko Bombay ke Maharashtra main huwa tha.
Ranveer Singh ke Family:
Ranveer Singh ke pita ka naam hai Jagjit Singh Bhavnani or Ranveer Singh ke mata ka naam hai Anju. Ranveer Singh ke janm ek Sindhi family main.
Ranveer Singh ke ek badi behen hai jinka naam hai Ritika Bhavnani.
Ranveer Singh ke marital status:
Ranveer Singh married hai, Ranveer Singh ne shaadi Deepika Padukone se kiya hai. Deepika Padukone ek bahut hi mashur bollywood actress hai.
Deepika Padukone or Ranveer Singh ne 14 November 2018 main shaadi kar liya tha.
Ranveer Singh ke career:
Ranveer Singh ek indian film actor hai. Jinko bollywood main apne kaam or acting se bahut naam kamaya hai.
Ranveer Singh debut film:
Ranveer Singh ne 2010 main “Band Baaja Baarat” namak film se apne debut kiya tha film industry main, or wo film box office main bahut hi success hua tha.
Lekin Ranveer Singh ek established actor ke rup main 2015 main hi success hua tha. Lekin iske pehle bhi Ranveer Singh ne kuch film ki thi jo film bhi assa khasa success hua tha.
Ranveer Singh aaj ek bollywood ke bahut bada superstar hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha Ranveer Singh ke jiboni ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Ranveer Singh ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Ranbir Kapoor ke jeevan parichay!
- सुभाष चंद्र बोस जीवन परिचय|Subhash chandra bose biography in Hindi
- Honey Singh Biography In Hindi, हनी सिंह का जीवन परिचय!