Dosto kaise hai aap log, asha karte hai ki app log sabhi swasth or asse hai.
Dosto ka zamana internet ka zamana hai, internet ne hume bahut age le gaya hai. Internet or naye naye technology ke madad se hum digital zamane main aa pahunce.
Aaj ke is zamane main hum bahut se kathin kaam asani se kar sakte hai. Jo kaam karne ke liye pehle hume bahar jana padta tha, wo kaam hum aaj ghar baithe aram se kar sakte hai.
Thik usi tarah aaj ke is zamane main kuch app hai, jinke, madad se hum ghar baithe baithe duniya bhar ke khabr jaan sakte hai, duniya bhar ke logo se baat kar sakte hai.
Hum apne apne talent ko ye sab platform ke dwara duniya bhar ke logo ke samne la sakte hai. Thik usi tarah ek platform ya app hai starmaker app, jis app ke madad se hum apne talent ko show kar sakte hai.
Starmaker app par hum gana gaa sakte hai or gana internet par upload kar sakte hai or saath hi starmaker par hum dance ka video bhi bana sakte hai or apna video internet par upload kar sakte hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki starmaker app kya hai, Starmaker app ko kaha se download kare, is app ko use kaise kare ye sab ke bare main.
Starmaker app kya hai?
Starmaker app ek social media platform hai jaha par hum apne talent ko show kar pate hai duniya bhar ke samne, jo ek bahut hi assa app hai.
Starmaker app kaise or kaha se download ya install kare:
Starmaker app ko install karne ke liye pehle aapko google play store pe jana padega, play store pe jane ke bad apko waha search option dikhai dega , aapko us search option par Starmaker app type karke enter karna hai.
Enter karne ke bad apke device ke screen par Starmaker app aa jayega or us app ke niche apko install ke option dikhai dega, phir apko us option ko par click karna hai, waha click karne ke bad apke device par Starmaker app install ho jata hai.
Starmaker app ko use kaise kare?
Starmaker app ko use karne ke liye pehle hume app ko apne mobile par insatall karna padega, install karne ke bad starmaker app ko apko open karna hai.
Open karne ke bad waha pe option ata hai log in with facebook or mobile number. Aap ko jiske ke saath log in karna hai uske option par click kare.
Uske bad aapke email ke bare main pucha jata hai, aap ko apna email dalna padta hai or agar aap mobile number se log karna chahte hai to aap ko waha mobile number enter karna padta hai or uske bad aap ke mobile par OTP aa jata hai.
Us OTP ko waha aap ke screen par aye OTP ke jagah enter karna hota hai or uske bad aap ko language select karne ka option ata hai or aap ko language select karna padta hai.
Ye sabhi process complete hone ke bad aap ke starmaker use karne ke taiyyar ho jate hai or aap starmaker ko use karna start kar sakte hai.
Starmaker ka playstore size, rating or kitne logo ne download kiya hai?
Starmaker ka play store par size hai 80 MB. Starmaker ko 10cr+ logo ne download kiya hai. Starmaker ka google play store par rating hai 4.6 star.
Last word:
Toh dosto yeh tha Starmaker app ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko mila starmaker app ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- बेस्ट टीवी स्ट्रीमिंग ऍप/Best TV streaming apps in Hindi!
- Mobile se paise kaise kamaye| Paise kamane wale Android Apps
- Top five online learning app in Hindi!