Cricketer Gautam Gambhir biography in Hindi!
Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyo ke bich ek khiladi hai Gautam Gambhir.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Gautam Gambhir ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Gautam Gambhir ke janam:
Gautam Gambhir ke janam 14 October 1981 ko New Delhi main huwa tha or New Delhi main hi wo apne bachpan gujare or waha education bhi liya hai.
Gautam Gambhir ke nick name:
Gautam Gambhir ko aise to hum bahut sare nick nick name se jante hai, lekin sabse jyada jo famous hai wo hai “Gauti”, jis naam se Gautam Gambhir ko apne dost or team mate bulate hai.
Gautam Gambhir ke family:
Gautam Gambhir ke mata ka naam hai Seema Gambhir or Gautam Gambhir ke pita ka naam hai Deepak Gambhir. Gautam Gambhir ek behen bhi hai.
Gautam Gambhir filhal M.P(Member of parliament) yani loksabha ka sangshad hai. Gautam Gambhir East Delhi se BJP(Bhartiya Janata Party) ke M.P. hai.
Gautam Gambhir ke carrer:
Gautam Gambhir Bhartiya Cricket team ki retired left handed batsman hai, jo ek bahut hi khatarnak batsman the Indian Cricket ki.
Gautam Gambhir ke international carrier ki shuruwat 11 April 2003 main huwa tha Bangladesh ke khilaf jo ek ODI match the.
Gautam Gambhir ne 27 January 2013 main ODI cricket se retire liya tha or unka last ODI the England ke khilaf.
Gautam Gambhir ne test debut kiya tha 3 November 2004 main Australia ke khilaf or unka aakhri test match the England ke khilaf 9 November 2016 main.
Gautam Gambhir T20I debut kiya tha 13 September 2007 ko Scotland ke khilaf or Gautam Gambhir ka last T20I match tha 28 December 2012 ko Pakistan ke khilaf.
Gautam Gambhir ne IPL debut kiya tha 2008 main Delhi Daredevils ki or se.
Gautam Gambhir 2011 ICC World Cup final match ke hero the, Gautam Gambhir ne final match main 97 run ki ek mahatbapurna pari khela tha.
Gautam Gambhir ke highest scores:
Gautam Gambhir ke ODI main highest score hai 150 run, Test cricket main highest score hai 206 run Gautam Gambhir ke T20I main highest score hai 75 run.
Gautam Gambhir ke total run hai ODI main 5,238 run, test cricket main 4,154 run or T20I main 932 run.
Gautam Gambhir retirement:
Gautam Gambhir ne 2016 main International cricket se retirment le liya tha.
Last word:
Toh dosto yeh tha Gautam Gambhir ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Gautam Gambhir ke bare main ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe: