Sachin Tendulkar biography in hindi!
Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyo ke bich ek khiladi hai Sachin Tendulkar.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Sachin Tendulkar ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Sachin Tendulkar ke janam:
Sachin Tendulkar ke janam 24 April 1973 ko Maharashtra ke Mumbai main huwa tha.
Sachin Tendulkar ka pura naam:
Sachin Tendulkar ko hum generally Sachin Tendulkar ke naam se hi jante hai, lekin unka pura naam hai Sachin Ramesh Tendulkar.
Sachin Tendulkar ke family, wife or bache(child):
Sachin Tendulkar ke pita ka naam hai Ramesh Tendulkar or unke mata ke naam hai Rajni.
Sachin Tendulkar ki wife ke naam hai Anjali Tendulkar, Sachin Tendulkar ne 1995 ko shaadi kiya tha.
Sachin Tendulkar ke ek beta or ek beti hai, unka beta ka naam hai Arjun Tendulkar, jo ek cricketer hai.
Unka beti ka naam hai Sara Tendulkar, Sachin ke beta Arjun Tendulkar ranji trophy match khelta hai.
Sachin Tendulkar ke nick name:
Sachin Tendulkar ko Tendulkar ke naam se hi jata hai, uske bad Sachin Tendulkar ko “Cricket ke bhagwan(God of cricket)” kaha jata hai.
Sachin Tendulkar ko Little Master, Master Blaster ye sab naam se jana jata hai.
Sachin Tendulkar ke record:
Sachin Tendulkar ODI cricket main double century banane wale pehle ballebaj bane the.
Sachin Tendulkar ek aise eklota cricketer hai jinhone 100 century banaya hai apne carrier main.
Sachin Tendulkar ke jeevan parichay!
Sachin Tendulkar ke carrier:
Sachin Tendulkar ek retired bhartiya cricketer hai, Tendulkar ek right handed batsman hai.
Sachin Tendulkar ke international carrier ki shuruwat 1989 main huwa tha Pakistan ke khilaf jo ek test match the.
Sachin Tendulkar ne 2013 main test cricket se retire liya tha or unka last test the West Indies ke khilaf.
Sachin Tendulkar ne ODI debut kiya tha 1989 main Pakistan ke khilaf or unka aakhri ODI match the Pakistan ke khilaf 2012 main.
Sachin Tendulkar ne ek hi T20 match khela tha wo bhi South Africa ke khilaf 2006 main.
Sachin Tendulkar ke retire:
Sachin Tendulkar ne 2013 main international cricket ko alvida keh diya tha or Cricket premi ko rula ke gaya tha.
Sachin Tendulkar ke Award:
Sachin Tendulkar ko 1994 main Arjuna Award se sammanit kiya tha, 1997 ko Rajiv Gandhi khel ratna award se sammanit kiya gaya tha.
Sachin Tendulkar ko 1999 main Padma Shri or 2008 main Padma Vibhushan award se nawaza gaya tha.
2013 ko Sachin Tendulkar ko Bharat ke sarvoch asamarik award “Bharat Ratna” se nawaza gaya tha.
Sachin Tendulkar ke highest scores:
Sachin Tendulkar ke ODI main highest score hai 200, Test cricket main highest score hai 248.
Sachin Tendulkar ke total run hai ODI main 18,426, test cricket main 15,921.
Last word:
Toh dosto yeh tha Sachin Tendulkar ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Sachin Tendulkar ke bare main ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe: