SBI Quick Registration kaise kare | How to register SBI Quick Without apps in Hindi
Hello Dosto, aaj ke is post me hum janenge SBI bank ke jo SBI Quick service hota hai woh register kaise kare, or yeh bhi janenge ki SBI Quick massage ke duara kaise register kare, Toh is post ko end tak read kijiye aapko SBI Quick Register kaise kare | How to register SBI Quick Without apps ke bare me puri jankari mil jayega.
SBI Quick Registration kaise kare!
Sabse pehle SBI Quick app/ services ke bare me jante hai Dosto, SBI ka Bank account balance, Mini statement, Etc check krne ke liye aapko third party apps ko istemal karne ke jarurt nehi hai users ke liye sbi ne sbi quick services diya jo hai, SBI quick ka kaam hai aapke SBI account ka Balance, Mini Statement, check kr payenge or sath hi aap Chaque book ka bhi request kar sakte hai. debit card block karne ka subhida bhi diya gaya hai, or bhi kayi features SBI Quick services ke andar diya gaya hai. SBI Quicke Registration karne ke liye Do methods hai sabse pehela method Apps ke duara
aap Play store se SBI Quick app download karke bhi Register kar payenge, or Services bhi use kar sakte hai, jaisa ki account balance, mini statement check kr payenge Etc. Sbi Quick app se Registration kaise kare
Register karne ke liye aapko app ke andar sabse upar Registrations option par click karna hai or aap ka Account number enter krne ke bad aapka number par ek Conformation SMS aayega. Note : aapko yeh dhyan rakhna hai ki aap ka mobile par jis number register hai wohi sms Default hai ki nehi hai, or ek bat agar aap ka Sim jio nahi hai toh aapka number par 2 Rupeya hona cahiye aagla method hai Massage SMS ke duara Registration, aapko aapne register number se massage karna hoga, Registration Massage kaise karna hai aap niche dekh lijiye kaise karna hai. Type karna hai aapko REG space Account number likh kr 09223488888 send karna hai, uske bad aapko ek massage aayega jaha pe likha rehga Successful/unsuccessful ho gaya registration aisa karke. Aiye aab jante hai use kaise karna hai.
Dosto Sbi quick services apps se istemal karenge toh bahut hi easy aapne upar image par dekha hoga, balance Enquiry, mini statement bas aapko woha par click karna hai uske bad do options aayega ek sms ek callijg ka uspar aapko click kr Dena hai bas.
Massage se SBI quick services use karne ke liye aap niche diya Gaye instructor ko follow Kare. Balance Enquiry ke liye:
09223766666 is number par missed call dijiye ya fir SMS Type kijiye BAL Likh kr 09223766666 send kijiye, uske bad ek massage ayega aapka account par kitna balance hai. Mini Statement ke liye:
09223866666 is number par missed call dijiye ya fir SMS Type Kijiye MSTMT likh kr 09223866666 send kijiye, usk bad ek Massage aayega us last 5 times mini statement aapko milega. Chaque Book Request ke liye :
first sms par type kijiye CHQREQ likh kr 09223588888 is number par send kijiye, uske bad ek massage aayega bad me aapko or ek sms krna hoga 2nd sms par type kijiye (CHQACC space Y 6 digit no Likh kr 092235888888 send kar dijiye, uske bad aapko 2 hours ke andar 1 Processing massage milega. woh 6 digit no sms par ayega
ATM Card Blocking :
aap SMS par type kijiye BLOCK space “XXXX’ to 567676 xxxx ke jagah pe aap aapna card ke antim 4 digit no type krna hai, uske bad 567676 par send kijiye aapka card block ho jayega, Note : yeh jarur dyan rakhe ki card block permanently ho jayega. uske bad aagar aapko card mil bhi gaya toh bhi aap unblock nehi kr payenge, bank se naya card lena padega.
Toh dosto asha karta hu aapko SBI Quick Registration kaise kare | How to register SBI Quick Without apps ke bare me jan gaye honge, phir bhi aapko koyi sawal, sujav hai toh aap comment krke bata sakte hai. or is post ko jarur share kare Dhanyawad
Yeh bhi padhe –
- Feature phone par Mobile banking kaise kare
- Online transaction karne par yeh bate dhyan rakhe
- Credit card user yeh 4 bate jarur yaad rakhe