Hi dosto hum sab bahut pehle se fast charging ka naam sunte aa Rahe Hain, aur bahut Baar TV mein bhi ads Aati Hai ke aap 5 minute ki fast charging se 2 ghante Baatein kar sakte hain. Magar Hume Yeh baat ka ab tak nahi pata ki fast charging kya hai aur Fast charging kam Kaise Karti Hai
Aaj Hum isi ke baare mein baat karenge fast charging kya hai aur fast charging kam Kaise karti hai
Fast Charging Kya Hai
Sabse Pehle Yeh Baat Jan ni bahut zaroori hai ki jo phone hota hai usme alag alag Tarah Ke voltage aur ampere Hote Hain jinki Apni Apni alag alag range ya capacity hoti hai jaise ki Kisi Ka 20v Kisi ka 30v Kisi Ka 40v.
Fast charging Technology Yeh kehti Hai Ke aapka Jo phone hai wo Kisi particular ampere or voltage se charge hone ke liye Bana Hai. Circuit Mein jis type ki capacity ka volt ampere Hoga us type ka aapko charging support Milta Hai
Fast Charging Kaise Kaam Karti hai (How work fast Charging in Hindi)
Aaj kal Kuch Aise circuits mobile me daale Jaate Hain Jo ki High Voltage or ampere ko bardast kar sakte hain. Jis Ke jariye fast charging hoti hai aur smartphone ko koi nuksaan bhi nahi hota
Magar Sare smartphones ke sath aisa nahi hota hai Kyunki aap Sabhi Jante Agar mobile mein hum Jyada High voltage ke circuit Laga Dete Hain aur mobile uski capicity ko bardast nahi kar Pata Hai To mobile mein Kafi sari problems Aane lagti hai aur mobile me heat problem create hone Lagti Hai
Jab Hamare mobile ki battery 0% par Hoti Hai tab fast charging bahut acche se kaam Karti Hai Woh aap ko 50% charging Uske voltage capacity ke hisab se aapko 30 minute ya 20 minute ke andar Deti Hai. Magar Jab battery level 60, 70, 80 Ke Aas Paas Aati Hai tab voltage kam dene Lagti Hai tab charging fast hone ki speed kam hone Lagti Hai
Kyu nhi hote hai ab heating problems
Heating problems Kuchh mobiles mein nahi hoti hain otherwise Sare mobiles me ye problem Aati rehti Hai Jab Hum fast charging Karte Hain. Abhi Aise charges develop Huye Hai jinki voltage 20-30 hai woh kuch aur voltage Lekar aapko fast charging provide kar sakte hain jisse heating problem create nahi hoti
Aap Jante Honge Qualcomm ki jo Technology Hai quick charge, jo kaafi Sare Androids Mein Pai Jati hai usme Yahi hota hai ki voltage ko thoda sa Jyada acceptable banaya jata Hai Jis Se mobile ko fast charging mil sake aur mobile be heat Na Ho.
Fast Charging se bhi aage hai Warp Charging
Warp charging fast charging se bhi Aage hai warp charging ka matlab hai bahut Tez ya isko super tezz bhi kaha ja sakta hai kyunki ye Fast charging se bhi Tez hai
Example ke Taur par aap Itna Samajh Lijiye ki agar fast charging 0% ki battery par aapko 20 minute mein 50% charging deta hai to warp charging wahi kaam apko 7 minute ke andar andar 50% battery charge Karega yeah bhi ho sakta hai usme 10 minute Bhi lag jaye.
Aisa Kehne mein aa raha ki Yeh Warp charging ki jo Technology hai woh oneplus ke mobiles mein dekhne ko milegi Magar Tajuk Ki Baat Ye Hai Ki is process se phone heat nahi hoga, Kyunki Jo charger circuit mobile mein Dala jata tha wo ab mobile mein nahi hoga jo ke charger mein Rahega, Agar heat hona hai to charger Hoga mobile ko kuch bhi problem nahi Aayegi. Aur Sath saath mein mobile super charge bhi ho jayega wo bhi kuch samay mein.
Last Word
Asha Karti Hoon aap fast charging ke baare mein jaan Gaye Honge ki fast charging kya hai aur yeh fast charging kam Kaise karti hai
Aise hi knowledgeable baate jaan ne ke liye follow Kare www.knowledgefinder.in ko Facebook page like aur blog ke Bello icon subscribe jarur kare, Agar aapko Ye post achi lagi ho to please isko share karna na Bhule aapka post read karne ke liye bahut bahut Dhanyawad.
Yeh bhi padhe-
- Whatsapp Dark mode on kaise kare!
- 20+ Online Business Ideas 2020 [Hindi]
- बिटकॉइन क्या है? इसका क्या यूज़ पूरी जानकारी!