Assam festival:about Bihu

Nagaon,India – 13th April 2018: Youths performs bihu dance on the occasion of Rongali Bihu festival in Nagaon, Assam,India on Friday.

Bihu: Bihu Assam festival:about Bihu 

Bihu Hamara jatiya utshab hain.Assam ke sath sath iske ass pass ke rajjiyo main manaya jata hain. Iski besheshotaiye yeh hain ki har jati dharm ke  log mil ke manata hain. Bihu 3 prakar ka hota hain. jeseki:
1/Bohag bihu.
2/Kati bihu.
3Magh bihu.
In teno bihu ko alag alag nam se jana jata hain. jeseki Bohag bihu ko Rangali bihu ke nam se jana jata hain,Kati bihu ko Kongali bihu ke nam se, or Mag bihu ko Vugali bihu ke nam se jana jata hain. in 3 o Bihu main se Rangali Bihu  sab se jiyada ananda dayak hota hain. Bihu utshab Manguliyo or arjya samaj ka mishran hain. Bihu Assam ka ek paramparik towhar hain. iske pehle din ko Uruka kaha jata hain.Nise 3 Bihu ke bare main bistit rup barnan kiya gaya hain.

1/ Bohag Bihu (Rangali Bihu): Bohag Bihu basanta ritu main manaya jata hain. Is Bihu 7din tak manata hain. iske pehle din ko gai Bihu ke nam se jana jata hain. Is Bihu main sab log milke anand leta hain.

2/Kati Bihu (kongali Bihu): darasal kati bihu kati mahine ko mania jata hain.jab dhan katne ke samai ata hain tab yeh bihu manaia jata hain.is bihu ko kati bihu isiliye kaha jata hain ki is bihu ke samay logo ke bhout paisa ka jurorat raheta hain  hain ya sabi chijo ka avab raheta hain.

3/ Magh bihu(bughali bihu):Is Bihu ko dhan katne katne ke bad hi manaya jata hain. Is Bihu 3 din tak manaya jata hain.Magh bihu ke pisle hapte ke bad Junbil  mela manaiya jata hain.Magh Bihu ke samay Assam ke sabi ghar main khane na bandabast hota hi hain, or koye samashya nahi hota hain.isliye is Bihu ko vugali Bihu vi kaha jata hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *