Knowledge finder blog One Year Success Story [1st Anniversary]

14 April, 1st anniversary of knowledge finder, mera 1 year complete ho gaya online duniya par | Knowledge finder blog One Year Success Story [1st Anniversary]

 
Aj Mein bahut khus hu kyu ki mera blogging field mein aj 1 year complete ho gaya. 
 
aur aj ke is post par apko bataya hu kaise mera knowledge finder blog start kiya hu aur 1 saal ki success story

Knowledgefinder.in 1st anniversary


Online duniya par kab aya ?



Dosto,  knowledgefinder brand yani website/blog ka 1 saal pura ho gaya aj ke isi date pe 14 April 2018 ko knowledge finder naam ka jnm hua tha. Aur mein bhi 14 April 2018 tarik ko hi disicion liya tha ki mein bhi online kuch karunga earning, aur online kuch karne ke sath sath logose connect hounga.

 
Wese to dosto mein online par 2012 se Google par chije dekhta tha Aur dusra ka blog bagera se koyi bhi chije sikha karta tha.
 
Online par earning bagera ke bare me Muje 2015 ko pata chala hamare idar ka hi ek youtuber se, us time mene us banda ko bola tha mein kabi bhi online par kuch nehi karunga I mean income bagera karne ka mera ummed nehi hai online se.

Kyu ki 2015 mein yeh adsense bagera ke bare me Muje pata nehi tha aur Muje laga merese yeh sab kuch hoga nehi. Uske bad 2015 se continue youtube bagera dekhte raha achanak ekdin rat 10 baje ke aas pass 14 April 2018 tarik ko YouTube open kiya aur Technical Sagar naam ka ek youtube channel par ek video mil gaya jaha pe YouTube ke bare me hi bat kr rha tha jisme bol rha hai kaise successful Youtuber bane, Youtube banne se kya fayde agera bagera



usme se ek bat kahi jisse sunkar us waqt hi mene dicision le liya ki Muje online kuch karna hai aur usdin 14 April 2018 tha. Usne kaha ap kuch kar rahe ho aur sath me kuch sikhna cahte ho toh ek youtube channel khul kar sikh sikh kr videos bagera banao isme kuch nehi lagega na ki pasia lagega. Kuch karte isme nuksan nehi hoga walki kuch na kuch hoga hi youtube par nehi toh khud bahut kuch sikh paoge.

Toh mein bhi apko yehi kehna cahunga agar ap bhi kuch karna cahte ho toh karo kuch na kuch accha hi hoga

 

Uske bad Mene knowledge finderJh naam se channel bana liya channel pe kuch din agera bagera videos dete Rha halaki YouTube par Muje success nahi mila, lekin nehi mili matlab Muje pura Biswas hai agar mein kochis krta to jarur milta lekin mene youtube par dimag hi nehi lagaya ki Muje Youtuber banna hai.
Muje pata hai Youtube pe accha khsa genuine videos laoge to jarur success milega.

Knowledgefinder kaise aa gaya


14 April 2018 tarik rat ko Sagar ka video dekhne ke bad rat 2 baje tak sochne laga kya naam rakhu kya rakhu achanak se mera dimag pe aya Muje koyi bhi knowledge janna bahut pasand hai aur mein bachpan se hi kuch na kuch naya naya knwoledge ke liye idar udar kuch na kuch dundta rehta hu

Toh mene socha mera brand ka naam knowledge se hi kuch hoga uske bad or thoda dimag lagaya knowledge kya rakhu fatak se mind me Aa gaya finder matlab dundte rehna toh knowledge aur finder milakr knowledgefinder rakh diya lekin YouTube channel khulte samay knowledge finderJH rakha tha taki search karne se pehle hi mera channel aye


Youtube to blogger kaise


YouTube par work krna band karne ke bad hamare idar ka ek bhai jiska naam Bipul biswas hai usne mera dukan par akr bola dekh tu youtube par videos nehi bana skte ho to kya hua aur ek Plateform hai blogger jaha pe tuje sirf post likhna hai yeh jarur kar payegi.

May ya Jun mahina ko mene knowledgefinder ka naam se blog bana liya or kuch din post karte rha uske bad Jul ko domain kharid kar connect kiya tha, connect karne ke bad kuch din toh Muje template bagera kuch bhi pata nehi tha @Harshit bhai ne muje bola yeh html code lekar pc se voha pe paste karo.

Are wah itna mast ho gaya mera site mene khusi se aur post likhte gaya uske bad Oct mahina ko Muje adsense bhi approval mil gaya uske bad toh aur mazaa ane laga blogging karne me bas karte rha.


uske bad domain kharidte samay www.www.knowledgefinder.in ko 230 rupees ke aspass kharid liya tha.

Knowledgefinder one year success ?
 Dosto wese toh mera site itna famous nahi hua par Muje itna pata hai ki jitna mene mehant kiya utna fal to jarur mila aur age milta rahega. 

Agar income aur traffic(visitors) ke bat kare to jitna badhe badhe blogger log bolte hai ki 7 se 8 mahina blogging karne ke bat apko paisa banna shuru hoga us hisab se Muje ab jitna ho rha hai traffic bagera aa rha hai bas usse bahut khus.

Quick facts about knowledge finder blog

Domain : www.www.knowledgefinder.in

Domain register date : 21-7-2018

Owner of knowledge finder blog : Jakir Hussain

Earning sources of knowledge finder blog : Adsense + Affiliate+ refer system

Knowledgefinder.in ki earning ?

Sorry kahunga iske liye ki direct earning share nehi kar paya. Bas itna ki mein abhi knowledge finder ka earning bagera share nehi kar sakta hu bas dosto sath raho support karte raho ekdin jarur share krunga aur mera yeh manna hai jisdin share karunga us din aplogko Muje proof nehi dena hoga ap logoko kuch dikahunga bas aplog khud hi jan jaoge han banda ka itna earning ho rha hai. 

Adsense bagera ka earning share karne ka socha tha lekin dosto kuch badhe blogger se bat kari toh bola share na krna hi batter hai kyu ki kuch naya blogger hai jisko earning sunkar ya toh demotivate hoga ya mera sath compare karne lagega. Toh mein nehi chata ki mere earning report share krke kisika nuksan pouchao

Mein itna khus kyu hu knowledge finder blog aur blogging me.

Jab mein 2012 se 2015 tak computer ka aur mobile ka kuch problem hota toh Google karta tha aur solution ke liye hazaro site ate the mein socha tha itna kuch Google kaise karte hai, hahaha ab muje pata chala  voh sare information ab mein bhi Google par upload karta hu isse jyda aur kya khusi hona cahiye.

At least
Aplogoko Mere readers/users ko mera dill se Dhanyawaad karta hu. aur uparwala ka bhi sukriya adha krta hu. mein online duniya par kuch kar paya Thanks god.

       Thank You So much Everyone

22 thoughts on “Knowledge finder blog One Year Success Story [1st Anniversary]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *