Namaskar doston aaj is post ke jariye Ranveer Singh aur Shalini Pandey ki film Jayeshbhai Jordaar movie ki review aap logo se share kar raha hu. Agar aap Jayeshbhai Jordaar film ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Jayeshbhai Jordaar movie review
Film 83 mein Kapil Dev banne ke bad Ranveer Singh ab Jayeshbhai bane hai, woh bhi jordaar andaaj mein. Ranveer jab bhi parde par aate hai, toh aap unhein bhulkar sirf unke kirdaar ko yaad rakhte hai. Ranveer isse pehle Allauddin Khilji bankar dilon mein dehshat peda kar chuke hai toh ab Jayeshbhai Jordaar banakar aapni maasoomiyat se parde par dil jeette najar ayenge. Yash Raj Production ki is film mein lekhak Divyang Thakkar pehle baar nirdeshak ki kursi par bethe hai. Ab is Jayeshbhai ki kahani parde par kitni jordaar tarike se dikhai gayi hai, chaliye bata te hai.
Jayeshbhai Jordaar film ki kahani
Jayeshbhai Jordaar ke director ki yeh pehli film hai. Aise mein fans ko Ranveer ki film se khasa ummiden bhi hai ki film ko sandarbh banane ke liye accha khasa jor laga diya gaya hoga. Is film mein Ranveer Singh bilkul alag avatar mein dikh rahe hai.
Film mein Ranveer ak aise bete ki bhumika mein hi jo aapne pita ki har bat manta hai. Unka kaha bhi talne ki soch bhi nahi sakta. Mata-Pita ki khuwaish hai ki Jayesh ko beta ho isse pehle Jayesh ko ak beti pehle se hi hai. Jise unke Mata Pita bilkul pasand nahi karte. Ab bas Jayesh to yehi chinta sata rahi hai ki is baar bhi agar use beta nahi hua to kiya hoga. Halaki bad mein pata chalta hai Jayesh ki patni ke garbh mein beti hai. Aise mein Jayesh appni patni ki jan bachane ke liye parivaar shahid aapne mata pita dur bhaagne ka plan bana leta hai. Jabki Jayesh ki pita aapni khaas shiyashi gaddi bete ko saupne ko sapna dekha rahe hai. Ab aage kiya hoga janne ke liye aapko yeh film dekhna padega.
Movie ka nirdeshan
Yeh Divyang Thakkar ki pehli film hai. Lekin yeha woh kuch khaas prabhaavit karte najar nahi aye. Film ke lekhan aur nirdeshan, dono ki jimmedaari Divyang par thi aur dono hi pakshon mein woh aushat rahe. Kanya bhrun hatya jaise damdaar vishay par bani yeh film dhili patkatha ke vajah se aapko bandhe rakhne mein fail hoti hai. Film ki shuruaat ak acche sire se hoti hai, first half tak badhiya adakari aur vishay dilchaspi jagai rakhta hai, lekin second half mein nirdeshak ak sath etne Sare mudde dalne ki koshish karte dikhe hai, jo woh bore karti hai.
Film ki patkatha kafi dhili hai, lekin Namrata Rao ki kashi gyi editing film ko thori behtar banati hai. Jayeshbhai Jordaar sirf 2 gante ki film hai, jo film ke favour mein kam karta hai. Siddhart Diwan ki cinematography bhi thik thak hai aur ak tarah se film ka mood set karta hai.
At Last
Toh doston yeh tha aaj ke topic Ranveer Singh ki Jayeshbhai Jordaar movie ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Jayeshbhai Jordaar ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Namste Bhai , Kya aap sponsor post accept karte ho… agar karte ho to mail par contact kare