Youtube Play Button Award Ki Puri Jankari, Youtube Awards Explain in hindi – Knowledgefinder

Types Of Youtube Awards, How to get Youtube Awards From Youtube Channel Full Details in Hindi.

Hi Dosto, knowledgefinder Mein aapka swagat hai kaise ho aap Asha Karti Hoon aap theek Honge aaj ke is post Mein Hum baat karne wale hai YouTube awards ke baare mein.

YouTube awards kitne type ke hote hain aur YouTube awards ko kab aur kaise paya jata hai in sab ke baare mein hum baat karne wale hai. To Bane Rahe knowledge finder ke is post ke sath or is post ko end tak zarur read karna Ye post Kafi Jyada helpful Hone Wali Hai.

Youtube Channel Play Button Award in Hindi


Youtube Award Kitni tarah ke hote hai.

Sab Jante Hain Ki YouTube ke award Hote Hain aur YouTube ke award 3 type ke Hote Hain
1. Silver Play Award
2. Gold Play Award
3. Diamond Play Award
Iske Alawa Aur Bhi kayi Sare awards Hai Magar Woh Pehle main the abhi in teeno ke Alawa aur koi Award Nahi Milta Hai Kyunki YouTube ki policies terms and conditions change hone ki wajah se jo Pehle awards Milne the wo ab nahi Milenge.

YouTube Award kaise milta hai.

1. Silver Play Award
Silver play award ko normally silver play button bhi Kaha jata hai ye award tab Milta Hai, Jab Kisi youtuber Ka channel 1 lakh subscriber gain kar leta hai aur uska channel good standing pe hota hai yaane us youtuber ke channel par koi bhi community guideline strikes ya koi bhi Copyright strike nahi hoti hai tab usko Yeh silver play button ka award YouTube ke dwara Diya jata hai.


Silver Play Award Kaise Paaye
Silver play award pane ke liye aapke paas 1 lakh subscriber hone chahiye uske baad aapko Ek email karna padta hai YouTube ko, Jisme aapko respectfully likhna hota hai ki aap ke channel pe 1 lakh subscribers Ho chuke hain aur aap hame silver play award de dijiye.

Silver Play Button

Aapke email bhejne ke baad uska reply aapko 24 hours mein aa jata hai. Us email Mein Ek website or ek Code bhi Diya jata hai, Jo code apko Diya jata hai wo aapko YouTube ke dwara batayi gayi website me submit karna padta hai, Usi ke sath aapko Wahan apna address or play button pe Kya Naam chahiye wo aapko submit karna padta hai.

Yeh sari process karne ke baad ek mahine ke andar aapke Jo permanent address yani aapne Jo address  submit Kiya hota hai YouTube Walo Ko us address par apko ye award send kar diya jaata Hai.

2. Golden Play Award

Golden award ko normally Golden ya Gold play button bhi Kaha jata hai ye award tab Milta Hai, Jab Kisi youtuber Ka channel 10 lakh subscriber gain kar leta hai aur uska channel good standing pe hota hai yaane us youtuber ke channel par koi bhi community guideline strikes ya koi bhi Copyright strike nahi hoti hai tab usko Yeh Gold play button ka award YouTube ke dwara Diya jata hai.

Golden Play Award Kaise Paaye
Gold play award pane ke liye aapke paas 10 lakh subscriber hone chahiye uske baad aapko Ek email karna padta hai YouTube ko, Jisme aapko respectfully likhna hota hai ki aap ke channel pe 10 Lakh subscribers Ho chuke hain aur aap hame Gold play button ka award de dijiye.

Gold Play Button


Aapke email bhejne ke baad uska reply aapko 24 hours mein aa jata hai. Us email Mein Ek website or ek Code bhi Diya jata hai, Jo code apko Diya jata hai wo aapko YouTube ke dwara batayi gayi website me submit karna padta hai, Usi ke sath aapko Wahan apna address or play button pe Kya Naam chahiye wo aapko submit karna padta hai.

Yeh sari process karne ke baad ek mahine ke andar aapke Jo permanent address Yani aapne Jo address submit Kiya hota hai YouTube Walo Ko us address par apko ye award send kar diya jaata Hai.

3. Diamond Play Award

Diamond play award 10 million subscribers pe Milta hai aur Har Kisi ko yeh Diamond play button ka award Nahi Milta balki wo kuch cities ke hisab se milta hai.

Agar aap Ki City mein sirf Aapke hi 10 million subscriber Hai To Ye Diamond play button ka award aapko Mil Jayega agar aap ke ilawa Apki hi city me Kisi dusre person Ke Paas bhi 10 million subscribers hai aur uske paas Diamond play button hai to aap ko hai Shayad nahi milega.

Diamond Play Award Kaise Paaye
Diamond play award pane ke liye aapke paas 10 Million subscriber hone chahiye uske baad aapko Ek email karna padta hai YouTube ko  Jisme aapko respectfully likhna hota hai ki aap ke channel pe 10 Million subscribers poore Ho chuke hain aur aap hame Diamond play button ka award de dijiye.

Diamond Play Button


Aapke email bhejne ke baad uska reply aapko 24 hours mein aa jata hai. Us email Mein Ek website or ek Code bhi Diya jata hai, Jo code apko Diya jata hai wo aapko YouTube ke dwara batayi Gayi website me submit karna padta hai, Usi ke sath aapko Wahan apna address or play button pe Kya Naam chahiye wo aapko submit karna padta hai.

Yeh sari process karne ke baad ek mahine ke andar aapke Jo permanent address Yani aapne Jo address submit Kiya hota hai YouTube Walo Ko us address par apko ye Diamond Play award send kar diya jaata Hai.

Confusion about Play Awards
Kuch Logon Ko confusion hota hai ki jo YouTube se play button ka award Diya jata hai kya Woh sach mein silver ka, gold ka ya Diamond Ka Hota Hai?.


‘ji nahi’ play button ke awards asli gold, silver ya Diamond ke nahi bane Hote Kyunki inke Rang dikhne me Silver, Diamond or Gold ke jaise hote hai isliye inka Naam silver play award, gold play award or Diamond play award Rakh Diya gaya hai.

In Awards Ki Keemat Kya hai.
Ye Youtube ke Play Button awards asli Gold Diamond ya silver ke nahi hote hain aur Ye Asal Mein To Kafi heavy Hote Hain, waise To Ye award Kahin bikte Nahi Hai Jo Unki Keemat Lagayi Jaye.

youtube Channel

Phir Bhi Agar Hum internet ke dwara gayi information ke jariye inki Keemat ki baat kare to Silver play button Ki Keemat 1000$ – 2000$ yane ke ye Silver Play Button ka award apko 1 se sawa lakh tak mil jata hai.

Golden play button Ki Keemat 3000$ se lekr 5000$ ki hoti hai hai yaane Indian Rupees me dekha jaaye to ye 2 Lakh se 3 Lakh ke bich tak hoti hai aur Agar Diamond play button Ke Keemat ki baat kare to 7000$ se 10,000$ ke bich me hai.

Kya In Awards Ko Lene Ke Liye Koi Fees Pay Krni Padti Hai.
Jab aap award ke liye apply kar dete hai to award aapke ghar par by post aa jata Hai Jiski koi bhi fees aapko Nahi Lagti Hai. Ye Youtube ke dwara bheje gaye play buttons awards aapko free of cost mil Jaate Hain.


Youtube Play Button Ka Award Kab Nahi milta hai.
Award aapko tab tak Nahi Milta jab tak aap ke channel pe award milne ke layak subscribers nahi Ban Jate aur Agar aapke channel par koi bhi copyrighted strike ya community guidelines strike hai apko ye Award Nahi Milne wala.

Youtube Channel Under Review


Jab aap ko award Diya jata hai usse Pehle aapke Channel ka achi tarike se review Kiya jata hai. Youtube apke channel pe full research krti hai ki aap ka channel aapka hi content hai ya aap Kisi Aur Ka content Dal rahe hain.


Yeh bhi padhe –

Agar wahan par YouTube Ko Kisi Aur ki videos aapke channel par Milti Hain ya koi Aisi videos Milti Hain Jo YouTube ke community guidelines ke rules ko follow nahi kar rahi hain to aapko Ye Play Button Ka award nahi milega.


Agar aapko Ye YouTube Play Button ka award chahiye to aap YouTube channel Banake uspe imandari se hard work Kijiye aur jo bhi YouTube ki community guidelines Hai unko follow karte huye content ko upload krenge to ye award apko zaroor milega.

To dosto aaj ki is post se aap Jan gye Honge ki YouTube award kitne Tarah Ke hote hai aur in play button award ko kaise paya jata hai.

Agar aapko Ye post acchi lagi ho to isko share Jarur Kare Apne friends or family ke saath. Aise hi knowledgeable post ki notifications ko paane ke liye Hamare website www.knowledgefinder.in ko follow karna na Bhule.

      Yeh Bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *