Rukhi skin ka dekhbhal kaise kare?

Namaskar Dosto, apka swagat hai Knowledge finder blog par is blog mein Tech knowledge,Health,Filmy gyan aur bhi dher sare knowlegeable article publish karte hai wesa hi aaj humne Health yani beauty related Jankari lekar aayi hai.
aaj hum is post par janenge Rukhi skin ka dekhbhal kaise kare?. Dry skin Treatment in Hindi, Dry skin par istemal karne ka kuch gharelu tips

Aaj ke zamane me sundar dikhane ka krej kafi badhta ja raha hai. Ladka ho ya ladki har koe sundar aur aakarshak dikhna chahte hai. Lekin sab etne lucky nahi hote ki vo natural sundar dikhe. Har kisi ke alag alag tarah ke skin hote hai. kisi ke ke oily ya kisi ke dry. Aur badhte pradooshan ke kaaran hamare chehre ko aur bhi jyada dekhbhaal karne ki jarurat hote hai. Aur thand ke mausam mei chehre aur bhi jyada dry hone lagte hai. 
 
Hame rukhe skin ko manage karna bahut mushkil hota hai.rukhe skin ki vajah se kabhi kabhi dry pyches bhi hone lagte hai. Iske liye log medicine aur Cosmetic products ka sahara liye hai jo ki kafi mahnge bhi hote hai. Rukhe skin ko thik karne ke liye moisturizer ke jagah gharelu upayon ka istemal kare. Yahan pe ham kuch tips de rahe hai jiski madad se aap apne rukhe skin ko glowing bana sakte hai.

 
Dry Skin Treatment in Hindi
 

Haldi aur Nariyal tel

->Haldi aur Nariyal tel ka lep bana ke lagane se skin moisturizer hote hai aur chehre par nikhar aur glow aate hai.

 
Sahad aur Alovera
 

:-Sahad aur Alovera bhi ek achchha moisturizer ka kam karte hai.

 
Alovera
 

:-Alovera ke patti ko kaat kar usme se jel nikal ke raat bhar lagane se  chehre ke Dyness  door hota hai aur pyches skin ka bhi ilaaj ho jaata hai.

 
Glisareen aur Gulaab jal
 

:-Ek chammach glisreen aur  ek chammach gulaab jal ko mix karke apne chehre ke dry pyches par kuchh ghanto tak laga kar rahne de aur ese din me do bar kare.

Rukhi tvcha(skin) ki dekhbhal kaise kare:-
 
 
*Dalchinee powder aur Sahad

:-Do chammach Dalchinee powder aur do chammach sahad ko milakar apne chehre pe 15 minute tak laga rahne de. Ese hapte mei teen se panch bar jaroor lagaye. Sahad skin ko moisture karne me madad karta hai.

 

*Neem ke pattiya

:-Neem ke pattiyo ke paudar me sahad aur haldi mix karke  esme pani mila de aur ek mulayam pest taiyar kar le. Es mishran ko chehre par 10-15 minute ke liye laga hua chhod de fir thande pani se chehre ko saph kar le. Neem rukhe skin ka elaj achchhi tarah se karte hai aur chehre ko nikhartee bhi hai.

 

Conclusion

Dosto,Agar aap bhi apne rukhi skin se pareshan hai aur aapko koyi bhi idea nahi aa rahi apne skin ko thik karne ke liye. Toh aap es article ko padhkar eske bataye gaye tariko ko follow kare.Fir aap dekhenge ki aapka skin me kuch hi dino me badlab aana shuru ho jayega.Aur fir aapka beran berukhi skin me fir se jan aajayega.Aur aapka skin pahle ki tarah swasth ho jayega. 

Agar apko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zaroor kare.Ya un logo ke sath share karna na bhule jinki skin bhi rukhi ho chuki hai.Aur ese padhkar woh apna skin thik kar sakte hai.

Hamare blog ki latest post ki update pane ke liye Facebook page ko like aur knowledge finder blog ka bell icon ko subscribe jarur kare! Post read karne ke liye Dill se Dhanyawaad

Yeh bhi padhe –

2 thoughts on “Rukhi skin ka dekhbhal kaise kare?

  1. सर आपने जो रूखी कैसे करें वह बहुत ही बेहतर तरीके से बताया है
    धन्यवाद!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *