ICICI PayLater account full details in Hindi

ICICI PayLater account full details in Hindi
 
Namaskar Dosto, Knowledge finder blog pe apka swagat hai. Agar ap hamare old readers hai toh apko pata hi hoga Knowledgefinder.in blog par banking related, technology, android apps related aur bhi bahut sare knowledgeable and helpful jankari diy jati hai.
Wese hi aj ke is post par hum janenge Icici bank ki PayLater account ke bare me. Icici paylater account kya hai, icici paylater account kaise paye jati hai, is post ko end tak read kijiye apko icici paylater account ke bare me puri jankari mil jayega !
 
 
ICICI paylater account kya hai ?
 
Icici bank ne kuch hi din pehle yeh service launch kiya hai, icici paylater account ek accha feature hai is feature par apko icici bank ki taraf se ek A/c banaya di jati hai jis account k Naam PayLater account hai.
Is account ke madad se ap online Shopping kar payenge aur paisa bad me den eke liye subidha milta hai. Paylater account ka yehi kam hai ki manlijiye ap flipkart se 10,000 price ka ek mobile kharida to apko paisa dena nehi hoga icici paylater account se 10,000 debit ho jayega uske bad apko icici paylater a/c par agle mahine ke 10 tarik ke pehle payment karna hoga, bas icici paylater account ka maksed yehi hai ap use kuch baki mai product kharid payenge. Yehi Paylater account hai.
ICICI PayLater account kaise paye :
 
Icici bank ke taraf se yeh subidha sabhi customers ke liye available nehi koi hai kuch selected customers ko diya hai, Is feature pane ke liye apko apka icici bank account se jyda se jyda online shopping bagera karna hoga, uske bad apko bhi ICICI paylater account feature diya jayega.
Icici Paylater account open kaise kare :
 
Paylater account pane ke liye Eligble hone ke bad apko jaise open karna hai ap niche diya hua Step ko follow kare aise hi apka Banking app Icici iMobile app par karna hai.
 
Apne Upar Screenshots dekh kr smaj gaye honge kaise krna hai. Sabse pehle Imobile ko open krna hai uske bad Account & Deposits par click karna hai, then Paylater account par click karna hai uske bad Apply now par uske bad I agree par tick mark krna hai aur Got It! par click kar dena hai. finally apka paylater account bante rahega thoda wait krna hai jaise Screenshot par dekha hai finishing up tak right mark dikhay dega. at last Congratulations Your account has been approved aayega.
 
ICICI Paylater account kaise istemal kare :
 
Paylater account use karna bahut hi easy hai, Paylater account ko istemal karna apko jab icici paylater account milega uske sath apko UPI ID dega us UPI id ke madad se Shopping, online bill payment or icici paylater a/c ka paisa istemal kar payenge.
Note : Icici paylater account ka paisa ap cash withdrawal nehi kar payenge. Is paisa se ap sirf Bill payment, online shopping aur Register merchant payment kar payenge.
ICICI Paylater account ka fees charges ?
 
Is subidha mein apse koyi bhi joining fees aur charges bagera nehi lega. Is subida me agar ap 30 Days ke andar paisa pay karenge toh Interest Zero hai, agar ap 30 days ke andar payment nehi kiya toh apko Interest dena padega.
Toh Dosto asha karta hu apko ICICI paylater account ke bare me puri jankari mil gaya. Koyi bhi sawal hai toh comment kare, aise hi aur knowledgeable jankari ke liye Knowledgefinder.in ki facebook page like kare aur hamare blog ko follow kare. Dhanyawaad
 
Yeh bhi padhe –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *